khub pahchan lo asrar hun main jins-e-ulfat ka talabgar hun main ishq hi ishq hai duniya meri fitna-e-aql se be-zar hun main khwab-e-ishrat mein hain arbab-e-khirad aur ek shair-e-bedar hun main chhedti hai jise mizrab-e-alam saz-e-fitrat ka wahi tar hun main rang nazzara-e-qudrat mujh se jaan-e-rangini-e-kohsar hun main nashsha-e-nargis-e-khuban mujh se ghaza-e-ariz-o-rukhsar hun main aib jo hafiz o khayyam main tha han kuchh is ka bhi gunahgar hun main zindagi kya hai gunah-e-adam zindagi hai to gunahgar hun main rashk-e-sad-hosh hai masti meri aisi masti hai ki hushyar hun main le ke nikla hun guhar-ha-e-sukhan mah o anjum ka kharidar hun main dair o kaba mein mere hi charche aur ruswa sar-e-bazar hun main kufr o ilhad se nafrat hai mujhe aur mazhab se bhi be-zar hun main ahl-e-duniya ke liye nang sahi raunaq-e-anjuman-e-yar hun main ain is be-sar-o-samani mein kya ye kam hai ki guhar-bar hun main meri baaton mein masihai hai log kahte hain ki bimar hun main mujh se barham hai mizaj-e-piri mujrim-e-shokhi-e-guftar hun main hur o ghilman ka yahan zikr nahin nau-e-insan ka parastar hun main mahfil-e-dahr pe tari hai jumud aur warafta-e-raftar hun main ek lapakta hua shoala hun main ek chalti hui talwar hun main