gul-o-yasman kal se na-ashna kal se be-e'tina gul-o-yasman apne jismon ki haiat mein fard magar kal se na-ashna kal se be-e'tina kasi marg-e-mubram ka dard un ke dil mein nahin! faqat apni tarikh ki be-sar-o-pa talab ke tale hum dabe hain! hum apne wajudon ki pinhan tahen kholte tak nahin aarzu bolte tak nahin! ye tarikh meri nahin aur teri nahin ye tarikh hai izhdiham-e-rawan usi izhdiham-e-rawan ki ye tarikh hai ye wo chikh hai jis ki takrar apne man-o-tu mein hai wo takrar jo apni tahzib ki hu mein hai tujhe is pe hairat nahin hum is izhdiham-e-rawan ke nishan-e-qadam par chale ja rahe hain badhe ja rahe hain ki hum zulmat-e-shab mein tanha pade rah na jaen badhe ja rahe hain na jine ki khatir na is se fuzun zinda rahne ki khatir badhe ja rahe hain kisi aib se rahzan-e-marg se bach nikalne ki khatir judai ki khatir! kisi fard ke khauf se badh rahe hain jo baatin ke tute darichon ke pichhe shararat se hansta chala ja raha hai