nahin mumkin mitana mujh ko misl-e-naqsh-e-pa yaro khalaon mein rahunga gunjta ban kar sada yaro na na’ra inqalab-e-nau ka na ghaibi nida yaro faqat hun ek dil-e-sad-chaak se nikli sada yaro nahin hai wasta kuchh bhi mujhe masnad-nashinon se main hun bas be-nawaon ki nawa-e-gum-shuda yaro nahin bhati mujhe hargiz riya-kari zamane ki 'ajab kya jo hun duniya ki nazar mein kaj-ada yaro samajhta khub hun main farq jo juzw aur kul mein hai kahun mansur ke manind kyon khud ko khuda yaro faqat taqlid hi kyon tajrabe bhi kuchh kiye jaen karen aao nae daur-e-sukhan ki ibtida yaro mujhe kahna hai jo kuchh bhi mere ash'ar kahte hain nahin kahne ko mere pas kuchh in ke siwa yaro gunahon ki mere fehrist lambi hoti jati hai hazaron bar tauba ki na chhuta mai-kada yaro kiya hai tai sukhan ka ye safar main ne akele hi na koi ham-safar mera na koi rahnuma yaro mera fan kham hai taham tumhaare dil ko chhu lega mere har she'r par tum bol uthoge marhaba yaro