aao ab apni gum-shuda jannat karen talash phir wa'da-e-chinar ki 'azmat karen talash nafrat ke sare naqsh mita kar dilon se hum aao khulus aur mohabbat karen talash sargoshiyan sunai den patton ki jis jagah phir wo sukun phir wahi khalwat karen talash sharma uthen jo dekh ke huren bahisht ki har naznin ke rukh pe wo rangat karen talash gulshan ki aao sair karen bhaunra ban ke hum phal mein mithas phul mein nikhat karen talash dal jhil mein ho pahle si phir se chahal-pahal phir chashm-e-shahi ki chalo barakat karen talash jang-o-jadal ki bhul ke sari hikayaten santon ki sufiyon ki riwayat karen talash ek nur se hain paida hue shaikh-o-barhaman har shai mein aao jalwa-e-wahdat karen talash tauba karen gunah se dahshat se dosto us rahmat-e-tamam ki rahmat karen talash