kisi ne kaha kaisi patthar dil hai tu kya ye kab hua nahin to is dil par kuchh lage chikh uthta hai rota hai khun bahata hai yaqinan patthar to aisa nahin karta ya patthar ki tabiat mein bhi badlaw aaya hai badlaw us mausam ki tarah badlaw us ki baaton ki tarah badlaw us muqaffal pade ghar ki tarah jo kabhi jhumta tha ek pariwar ke hone se badlaw jo ek rote shakhs ko hansa de aur hanste ko rula de badlaw is badlao ki tarah jo sab badal de ye kaisa badlaw patthar patthar hi hai ya badal gaya mera dil dil hi hai ya badal gaya koi to hai jo badal gaya main main hi hun ya