ek din jo baham honge tujh se tere darmanda kya arz guzarenge kya haal sunaenge mauhum kashida hai taswir qayamat ki shayad na suna paen tafsil masafat ki lab basta rahen shayad ye din jo guzare hain mahram hai koi kis ka ya zakhm ki sargoshi ya hamare hain aankhon pe kiye saya kab dur talak dekha larzan thi zamin kis pal kab su-e-falak dekha kab dasht ki tanhai aankhon mein utar aai kab wahm samaat thi kab kho gai goyai kis mod pe hairan the kis rah mein viran the ijmal haqiqat ke shayad na raqam honge ek din jo baham honge tak lenge teri surat aur sar ko jhuka lenge mal dalenge aankhon ko gar yaad sarab aae gum-sum teri chaukhat par ho jaenge hum shayad chhu kar tere daman ko so jaenge hum shayad