ai dost purane pahchane hum kitni muddat baad mile aur kitni sadiyon baad mili ye ek nigah-e-mehr-o-sakha jo apni sakha se khud pur-nam baitho to zara batlao to kya ye sach hai mere taaqub mein phirta hai hujum-e-sang-zanan? kya nil bahut hain chehre par? kya kasa-e-sar hai khun se tar? paiwand-e-qaba dushnam bahut paiwast-e-jigar ilzam bahut ye nazr-e-karam kyun hai pur-nam? jab nikle ku-e-malamat mein ek ghaugha to hum ne bhi suna tiflan ki to kuchh taqsir na thi hum aap hi the yun khud-rafta madhoshi ne mohlat hi na di hum mud ke nazara kar lete bachne ki to surat khair na thi darman ka hi chaara kar lete pal bhar bhi hamare kar-e-junun ghaflat jo gawara kar lete