sar-basar ek ulajhti paheli hun aur meri uljhan ki suljhan bhi dushwar hai taga taga mujhe kaun khole mujhe rang-dar-rang aur harf-dar-harf parkhe kahin aisi chashm-e-fusun-kar hai to batao ai meri be-dili ke shikasta kinaro mere khwab-e-hasti ke mauhum resham ko kis dhup ki zard dimak ne chata kaun si khwahishon ki hari tahniyon par barahna hawaon ke panje pade kis talab ki katha un ke raston mein kahin rah-e-gum-karda rahraw ki surat khajil aur kam-rakht rahne lagi main udasi ki gahri saheli hun tikhi paheli hun aur meri uljhan ki suljhan bhi dushwar hai main yugon se kisi dard ki khush-hunar ungliyon ki tunuk-tab poron se apna pata puchhti hun bahut kar-e-uqda-kushai kathin hai magar main kisi ranj-e-barsar khayal-e-junun-pesha ki aarzu kar rahi hun ye gunjal sulajh jae is dhun mein dil ke nashebon ko kya kya lahu kar rahi hun