main raat aur din ki masafat mein rangon ki tafsir mein apne sare azizon ke apne hi hathon se qatl-e-musalsal mein masruf hun phir main kyun sochta hun sar-e-jam, har shab ki dida-wari ki mata-e-firozan se sarshaar hota to har khufta sar-basta tahrir se main gale mil ke rota sadaon ki sargoshiyon mein utarta ajab hadsa hai ki kuchh der pahle mere samne ek ghayal parinda gira hai mere panw mein samne ke fasurda o be-barg be-rang se ped se mere jam-e-shikasta mein baqi the qatre mai-e-kham ke kuchh inhen chashm-e-minqar se ye musafir bade ghaur se dekhta hai inhen gin raha hai ye shayad main sailab-e-tahlil mein hun yahan se kahan jaunga dur gar ja sakta to wahan se yahan laut kar kis tarah aaunga main