hawa lahron pe likhti hai to pani par tahrir karta hai ki hum farzand-e-adam ki tarah sab naqsh-gar hain ahl-e-fan hain zindagi takhliq karte hain sitara tut jata hai magar bujhne se pahle apni is jagmag ibarat se fana par khanda-zan hota hai main mit kar bhi aane wale lamhon mein darakhshan hun jo patta shakh se girta hai qirtas-e-hawa par daeron mein likhta aata hai ki shakhon par tadapte dosto agli bahaaron mein mujhe phir lautna hai phutna hai tutna hai khak hona hai magar wo khak jo ashjar ki man hai wo kaunda jo ghata par sabt kar ke dastakhat apne ba-zahir ja chuka hota hai chhup kar dekhta hai kis tarah tarikiyon mein zalzale aate hain manzar jag uthte hain wo jaan jo pas-e-dar kitne barson se tanha hai ek sahifa hai kabhi suraj ki kirnon mein use dekho to puri kaenat is mein mujassam paoge aur jhum jaoge kitaben padhne wale to na manenge magar az-khak-ta-aflak jo kuchh bhi hai wo tahrir hai alfaz hain erab hain nuqte hain shoshe hain kashen hain daere hain harf hain jin mein tilism-e-zindagi asrar ka izhaar karta hai