shah-jahan ka taj hai duniya ke sab mahlon ka shah pyar ka ye git hai qalb-e-hazin ki bhi hai aah ek shahanshah ki mohabbat ho gai hai la-zawal paikar-e-marmar mein pinhan hai numayan hai kamal chaudhwin ki chandni mein taj ka wo husn-o-rang chand hai apne harif-e-husn ke jalwe se dang zindagi mein chand se badh kar hasin mumtaz thi shah-jahan ki ham-nashin thi hamdam-o-hamraaz thi husn us ka aaj bhi hai goshe goshe se ayan taj ke har ek pahlu mein hai ulfat ka nishan taj husn-o-ishq ka hai aisa ek rangin khwab pesh karna ghair mumkin hai 'asad' jis ka jawab