tahriron mein taqriron mein tum hi tum ho lafzon mein harfon mein tum hi tum ho tum ne bhi ek khwab dekha tha main ne bhi ek khwab buna tha pipal ki chhanw mein nile ambar ke saye mein tum hi tum ho lekin ek aisi aandhi aai ek aisa tufan utha aaina reza reza ho gaya shishon ke bhi tukde ho gae magar har aaine ke reze reze mein tum hi tum ho tum ne bhi ek khwab dekha tha main ne bhi ek khwab buna tha ek gulshan aisa nyara ho phul kaliyan har dam taza hon lekin ek aisi aandhi aai ek aisa tufan utha phul kaliyan sab bikhar gain khushbu se wadi jangal ganw shahr mahak uthe aur har har mahak se ye ehsas ho raha tha ki bas tum hi tum ho tum hi tum ho