dost! main dekh chuka taj-mahal wapas chal marmarin marmarin phulon se ubalta hira chand ki aanch mein dahke hue simin minar zehn-e-shaer se ye karta hua chashmak paiham ek malika ka ziya-posh o faza-tab mazar khud ba-khud phir gae nazron mein ba-andaz-e-sawal wo jo raston pe pade rahte hain lashon ki tarah khushk ho kar jo simat jate hain be-ras aasab dhup mein khopdiyan bajti hain tashon ki tarah dost main dekh chuka taj-mahal wapas chal ye dhadakta hua gumbad mein dil-e-shahjahan ye dar-o-baam pe hansta hua malika ka shabab jagmagata hai har ek tah se mazaq-e-tafriq aur tarikh udhati hai mohabbat ki naqab chandni aur ye mahal aalam-e-hairat ki qasam dudh ki nahr mein jis tarah ubaal aa jae aise sayyah ki nazron mein khupe kya ye saman jis ko farhad ki qismat ka khayal aa jae dost main dekh chuka taj-mahal wapas chal ye damakti hui chaukhat ye tila-posh kalas inhin jalwon ne diya qabr-parasti ko riwaj mah o anjum bhi hue jate hain majbur-e-sujud wah aaram-gah-e-malika-e-mabud-mizaj didani qasr nahin didani taqsim hai ye ru-e-hasti pe dhuan qabr pe raqs-e-anwar phail jae isi rauza ka jo simta daman kitne jaan-dar janazon ko bhi mil jae mazar dost main dekh chuka taj-mahal wapas chal
This is a great wapas bulane ki shayari. Please share if you liked this!!!