patthar ke kamre mein us ne mitti dhat namak ko atom aur is se bhi chhote zarron mein banta ek unchi mez pe lete waqt ko chloroform sungha kar us ke ek ek uzw ko kata sadiyon barson aur mahinon ek ek pal mein ek tikone chimte se ek slide par meri kuchh sansen rakkhin shishe ki nalki se meri gardan ko hilaya do aankhon mein mazi haal aur mustaqbil ke khwab jagae ek tezab se mujh ko andha kar ke ek test-tube zara sa tedha kar ke