unT

laqq-o-daq sahra mein ya maidan mein
ya arab ke garm registan mein

saya-afgan hai na wan koi chatan
sard pani ka na dariya ka nishan

chilchilati dhup hai aur chup hawa
wan parinda bhi nahin par marta

tu wahan ke marhale karta hai tai
din-ba-din aur hafta hafta pai-ba-pai

qimti ashya hain teri pusht par
tajiron ka resham aur shahon ka zar

toda toda tere upar lad raha
hai bhara goya jahaz-e-pur-baha

chand hafte jab ki jate hain guzar
aur thaka deta hai rakib ko safar

unt! ghabraata nahin tu bar se
dekhta hai us ki jaanib pyar se

goya kahta hai ki ai mere sawar
ek din tu aur bhi himmat na haar

han na be-dil ho na raste mein thithak
saf sar-chashma hai aage dhar lapak

mujh ko aati hai hawa se bu-e-ab
na-umidi se na kar tu iztirab

unt tu karta hai us ki rahbari
yun bana deta hai rakib ko jari

aakhirash manzil pe pahunchata hai tu
aur sukhe khar-o-khas khata hai tu

sabr se karta hai tai rah-e-daraaz
sach kaha hai tu hai khushki ka jahaz

al-gharaz tu hai halim o khush-khisal
tarbiyat mein chhote bachchon ki misal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close