ab mere shane se lag kar kis liye roti ho tum yaad hai tum ne kaha tha jab nigahon mein chamak ho lafz jazbon ke asar se kanpte hon aur tanaffus is tarah uljhen ki jismon ki thakan khushbu bane to wo ghadi ahd-e-wafa ki saat-e-nayab hai wo jo chupke se bichhad jate hain lamhe hain masafat jin ki khatir panw par pahre bithati hai nigahen dhund ke pardon mein un ko dhundti hain aur samaat un ki mithi narm aahat ke liye daman bichhati hai aur wo lamha bhi tum ko yaad hoga jab hawaen sard thin aur sham ke maile kafan par hath rakh kar tum ne lafzon aur talluq ke nae mani batae the, kaha tha har ghadi apni jagah par saat-e-nayab hai hasil-e-umr-e-gurezan ek bhi lamha nahin lafz dhoka hain ki un ka kaam iblagh-e-maani ke alawa kuchh nahin waqt mani hai jo har lahza nae chehre badalta hai jaane wala waqt saya hai ki jab tak jism hai ye aadmi ke sath chalta hai yaad misl-e-nutq pagal hai ki is ke lafz mani se tahi hain ye jise tum gham aziyyat dard aansu dukh waghaira kah rahe ho ek lamhati tassur hai tumhaara wahm hai tum ko mera mashwara hai, bhul jao tum se ab tak jo bhi kuchh main ne kaha hai ab mere shane se lag kar kis liye roti ho tum!