koi aaya hai tabassum ki ziya phail gai ruh viran thi hansne ka zamana aaya ab isi zakhm ke bharne ka zamana aaya koi aaya hai nadamat ka fusun aankhon mein subh ke nur ki manind chamak uthta hai meri duniya-e-mohabbat ka khuda aaya hai aaj ruk jaenge bahte hue aansu mere aaj phir nur ki qindil jalegi ghar mein zindagi aaj simat aai hai kashane mein aaj phir mujh ko gunahgar bana jaegi zist ko zist ka shahkar bana jaegi chhed kar saz-e-masarrat koi khamoshi se ab utarta hai meri ruh ki gahrai mein aab-e-kausar mein koi mauj uthi thi lekin tham gai hai mere paimane mein aakar jaise is tarah parde uthae gae chupke chupke karobar-e-dil-e-nadan pe koi hans na saka jaise ab koi haqiqat hi nahin is ke siwa meri duniya-e-mohabbat ka khuda aa hi gaya