tirgi

kitni tarik hai shab
har taraf kali balaon ka hujum

ahraman jag raha hai kab se
daudte phirte hain tariki mein

raat ke kitne bhayanak sae
dil laraz uthta hai rah-rah ke mera

is andhere mein jo aati hai sada
hat se hath ke takrane ki

raat tarik hai aur tu bhi mere pas nahin
tere aane ki koi aas nahin

dasht-e-tanhai hai aflak ki pahnai hai
mere aawara khayalon ki ghata chhai hai

zindagi jam se takraati hai mai-khanon mein
chhup ke baithi hai magar aaj nihan-khanon mein

rang bharti nahin afsanon mein
chand ki samt hai parwaz junun walon ki

baat hi aur hai diwanon ki
ek hi jast mein aflak pe ja pahunche hain

main kahan hun ki andhere ke siwa
aur yahan kuchh bhi nahin

dur hai qafila-e-subh-e-bahaar
aagahi rah mein milte hue katraati hai

raat tarik hai aur tu bhi mere pas nahin
tere aane ki koi aas nahin

is andhere mein magar khun-e-jigar ki shamen
apne virane mein raushan kar lun

mujh ko ta-subh isi taur pe jalna hoga
jam-e-khurshid uthane ke liye

nur-e-khurshid ko palkon mein chhupane ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close