dosto aaj be-samt chalte hain log tum bhi is bhid mein kho ke rah jaoge aao mazi ki kholen kitab-e-amal ek nazar sarsari hi sahi dal kar dekh len apne sab karnamon ka hashr tajziya apni nakaamiyon ka karen apni mahrumiyon par hansen khub ji kho kar aur sochen ki kyun shahr ke shor mein gum karahon ka nauha hua hum pe kyun be-dili chha gai rengti zindagi ki baqa ke liye hum ne kyun udte lamhon ke par kat kar rakh diye ek jibillat ki taskin ke waste kar ke samjhauta apne hi dushman ke sath walwale bech dale harifon ke hath