tumhaari aankhen jo meri aankhon mein bas gai hain wo subh se sham tak mere sath ghumti hain wo raat bhar meri nind se chur band aankhon mein jagti hain main subh aaina dekhta hun to meri aankhon se jhankti hain mujhe har ek baat par kuchh is tarah tokti hain ki jaise main ek tifl-e-nadan hun jaanta hi nahin zamane ke taur kya hain tum apni aankhon ko band kar lo ki ab mujhe zindagi ke kuchh faisle meri jaan khud apni marzi se karne honge