dard ki aag bujha do ki abhi waqt nahin zakhm-e-dil jag sake nashtar-e-gham raqs kare jo bhi sanson mein ghula hai use uryan na karo chup bhi shola hai magar koi na ilzam dhare aise ilzam ki khud apne tarashe hue but jazba-e-kawish-e-khaliq ko nigun-sar karen mu-qalam halqa-e-abru ko bana de khanjar lafz nauhon mein raqam madh-e-rukh-e-yar karen raqs-e-mina se uthe naghma-e-raqs-e-bismil saz khud apne mughanni ko gunahgar karen marham-e-ashk nahin zakhm-e-talab ka chaara khun bhi rooge to kis khak ki saj-dhaj hogi kanpte hathon se tuti hui buniyaadon par jo bhi diwar uthaoge wahi kaj hogi koi patthar ho ki naghma koi paikar ho ki rang jo bhi taswir banaoge apahaj hogi