ziyaada pas mat aana main wo tah-khana hun jis mein shikasta khwahishon ke an-ginat aaseb baste hain jo aadhi shab to rote hain phir aadhi raat hanste hain meri tarikiyon mein gum-shuda sadiyon ke gard-alud na-asuda khwabon ke kai ifrit baste hain meri khushiyon pe rote hain mere ashkon pe hanste hain mere viran dil mein rengti hain makadiyan gham ki tamannaon ke kale nag shab-bhar sarsaraate hain gunahon ke jane bichchhu damon par apne apne dank lade apne apne zahr ke shoalon mein jalte hain ye bichchhu dukh nigalte aur pachhtawe ugalte hain ziyaada pas mat aana main wo tah-khana hun jis mein koi rauzan koi khidki nahin baqi faqat qabren hi qabren hain kahin aisa na ho tum bhi inhi qabron mein kho jao inhi mein dafan ho jao gulabi ho kahin aisa na ho tum zard ho jao mohabbat ki hararat kho ke bilkul sard ho jao sarapa dard ho jao so mere sada-o-masum mujh ko ras mat aana ziyaada pas mat aana ziyaada pas mat aana