kuchh kahun to dam ghutta hai aur khamoshi mujhe andar se katti hai khayalat par lafzon ke pahnawe pure nahin aate kaghazon par dukh utarna bhi to dukh ki baat hai nazmen mujhe khali kar deti hain ye shairi to mujhe uryan kar degi! main aur kitne chehre pahnun binai ke jamghate mein bar bar khud se bichhad jata hun so main ne apni yaad-dasht mein ek tanhai takhliq ki taki us mein baith kar mujhe khud ko dohrane ka mauqa milta rahe fursat ne mujhe thaka diya tha shukr hai! main apne kisi kaam to aaya!