sham hote hi ghar mujh se chhota pad jata hai main raston ki bad-dua par nikla hun jahan aankhon ko chehre kamane se fursat nahin lagta hai tanhai mujh se ub gai hai sansen maili ho rahi thin mitti ne mujhe phul bana diya khushbu hawa ki dost ho jae to be-range log rang rang ki baaten karte hi hain (wo khwah kitne bhi chhote ho jaen achchha mausam in par kabhi pura nahin aata) bad-zabanon ko malum nahin uryani sirf aankhon par jachti hai main zamin par gira hua chand hun qadmon se pahle diwar mujhe phalang rahi hai munder par dhara charagh mujh se ziyaada raushan hai! main bhi to main hun ek gunah ke ewaz apna sari nekiyan kharch kar baithta hun khamoshi ke khali badan mein koi dhun mujhe gungunati rahti hai udasi aur kahan rahe kash khuda mujhe dekh raha ho!