bahut dinon se udas nazron ki rahguzar thi padi thin suni ufuq ki rahen ki dil ki mahfil mein naghma o nala o nawa ki ajab si shorish nahin hui thi nazar uthai to dur dhundli fazaon mein raushni ka ek daera sa dekha laraz ke thahra jo dil takhayyul ne apne shahpar faza mein khole ki jaise parwaz ka sahifa khule to nile gagan ke asrar jag utthen ki jaise mah o nujum ki mamlikat ka rasta koi bata de faza se parde koi utha de ki jaise ek be-kanar sahra mein mauj-e-reg-e-rawan nuqush-e-nawi bana de ki jaise taer-e-hawa ki lahron pe, jumbish-e-par se dastan-e-wajud likh den ki jaise tarik shab ke daman mein dast-e-qudrat, charagh-e-dil yak-ba-yak jala de