badon ko aur chhoton ko inhin sadmat ne mara mujhe daftar unhen college ki tatilat ne mara kabhi sardi ki chhutti hai kabhi garmi ki chhutti hai ye sab us ke alawa hain jo hat-dharmi ki chhutti hai kabhi tatil khane ki kabhi tatil pine ki padhai do mahine chhuttiyan hain das mahine ki abhi parson to hai rangini-e-haalat ki chhutti phir us ke baad pure mah hai barsat ki chhutti kabhi school mein ustad ke sar-dard ki chhutti hawa-e-sard chal jae to phir har fard ki chhutti kabhi afsar ko thoda sa bukhar aa jae to chhutti kabhi sasural se begam ka tar aa jae to chhutti kabhi table pe rakh ke panw so jaana bhi chhutti hai kabhi daftar se uth kar gol ho jaana bhi chhutti hai abhi to dard ke aasar kuchh baqi hain sine mein abhi to bis hi naghe hue hain is mahine mein gharaz jo tin-sau-painsath dinon ke goshware hain hamare tin-sau din hain faqat painsath tumhaare hain