tumhen sabit karna hoga ki tum ho! us ne mujhe jhinjhoda magar main ye sabit nahin kar sakti main ne ehtijaj kiya us ne mujhe mutthi mein bhar kar zamin par bikher diya aur khushi se chillaya! tum sabza hi sabza ho, rang hi rang ho thahro! zara socho! mujhe jald khizan ke nadida hath madum kar denge tum ye sabit nahin kar sakoge ki main hun us ne ghabra kar mujhe phir samet liya aur zara tawaqquf ke baad faza mein uchhaal diya aur pur-josh ho kar bola dekha tum raushni hi raushni ho han magar tariki mujhe nigalne ko betab hai! main ne kaha tha na main khud ko sabit karne se qasir hun us ne hirasan ho kar mujhe mutthi mein jakad liya na-tamami ke dard se meri aankhen chhalak padin us ne mujhe bahne ke liye nasheb mein chhod diya aur muskuraya dekha tum maya hi maya ho mujhe waqt ki tez dhup jald khushk kar degi main ne duhai di wo ghusse se kanpne laga phir mujhe samne rakh kar gidgidaya khud ko sabit karo khuda-ra nahin to main mit jaunga! hamari takmil zaruri hai na-guzir hai! main ne taid ki aao main tumhein zeb-e-tan kar lun! nahin to hum tasdiq ke haq se mahrum ho jaenge, hum kabhi sabit na ho sakenge han hamein apni tasdiq karni hogi us ne mujh mein zam hote hue kaha aur phir hum ne dekha rang roshni sabza maya husn aur hairat sab hamare butun ki jagiren thin bahar to sirf dhuan tha