main apni ruh-e-azab-gar se ye kah raha tha ki ruh ki pyas aur badan ki talab mein ek rabt-e-bahami hai na ruh sarshaar hai na tabindagi-e-tan hai ye reza reza jo rizq pahuncha hai tar-o-pu ka sarishta-e-na-tawan hai arz-e-hunar ke daman-e-be-rafu ka ye luqma-e-khushk-o-halq-farsa kabhi to lazzat-e-shiar-e-kaam-o-dahan bhi hota fasil-e-tan mawara-e-pas-khurdgi bhi hoti main dast-e-kotah-gir daulat se puchhta hun ki umr bhar tu ne kaghzi pairahan siye kyun zaban-e-aluda-kar ko si ke baith jata tu sakht-kosh azab-e-sud-o-ziyan na sahti ye lamhe aasar-e-baqiya hain ki jin mein sansen bhi ghat rahi hain talab hai daryuza-gar ki us ne shikast dil ki panah dhundi qalam chala hai to raushnai ke ashk tapka na lauh-e-dil par harif ko apne sath maqtal ki dhup mein la sawad-e-mahrumi-e-bashar to nahin guzar-gah-e-na-muradi pahad kate hain juraton ne kharaba-e-zehn par tamazat ghurur ki hai saman-bari saya-gustari hai usi ko zahrab-e-agahi de usi se tamir aashiyan kar