ab ye masafat kaise tai ho ai dil tu hi bata katti umr aur ghatte fasle phir bhi wahi sahra chait aaya chetawani bheji apna wachan nibha patjhad aai patr likhe aa jiwan bit chala khushiyon ka mukh chum ke dekha duniya man-bhari dukh wo sajan kathor ki jis ko ruh kare sajda apna paikar apna saya kale kos kathin duri ki jab sangat tuti koi qarib na tha apne gird ab apne aap mein ghulti soch bhali kis ke dost aur kaise dushman sab ko dekh liya kanch ki ek diwar zamana aamne-samne hum nazron se nazron ka bandhan jism se jism juda rahen dhadkin shakhen kadkin ek ek tis atal kitni tez chali hai ab ke dhul-bhari hawa dukhde kahte lakhon mukhde kis kis ki suniye boli to ek ek ki waisi bani sab ki juda