raat ki zulf-e-siyah aur sanwarti hi rahi raat ki zulf-e-siyah aur sanwarti hi rahi chand ki bikhri hui sard shuaon se alag aur khambon ki sulagti hui aankhon se alag ek nazar thi jo khalaon mein bhatakti hi rahi silwaten soch ki gahri huin gahri ho kar mere mahaul pe chhai gain chhati hi gain meri be-tab nazar charkh se takra hi gai aur takrai to phir charkh ki ranai gai gardishen chand sitaron ki nazar aane lagin gardishen tez huin, tez huin, tez huin aur phir tez, bahut tez, bahut tez huin jaise ye gardishen karte hue tare, ye chand kurra-e-arz se yak-bargi takraenge aur phir gardishen karta hua har ek tara az-sar-e-nau kura-e-arz bana hi lega aur phir gardishen karta hua ye zard sa chand ek ufuq apne liye aur saja hi lega kurra-e-arz jahan maut na kahish hogi ek ufuq, jis mein tapish aur na sozish hogi tez-tar hoti gain gardishen sayyaron ki nachta hi raha mehwar pe wo pila mahtab aur har samt isi gardish-e-paiham ka kharosh aur phir rah na gaya raqs ke andaz mein josh ek parwana gira sham-e-fasurda ke qarib ek tare ne kaha tut ke, lo main to chala aur phir gardishen karta hua aur phir main tha wahi marta sulagta mahaul raqs karte hue sayyaron ki sai-e-nakaam raat ki zulf-e-siyah aur sanwarti hi rahi