hawa subh-dam us ki aahista aahista khulti hui aankh se khwab ki sipiyan chunne jae to kahna ki hum jagte hain hawa us se kahna ki jo hijr ki aag piti ruton ki tanaben ragon se ulajhti hui sans ke sath kas den unhen raat ke surmai hath khairaat mein nind kab de sake hain hawa us ke bazu pe likkha hua koi tawiz bandhe to kahna ki aawargi odh kar sans lete musafir tujhe khojte khojte thak gae hain hawa us se kahna ki hum ne tujhe khojne ki sabhi khwahishon ko udasi ki diwar mein chun diya hai hawa us se kahna ki wahshi darindon ki basti ko jate hue raston par tere naqsh-e-pa dekh kar hum ne dil mein tere nam ke har taraf ek siyah matami hashiya bun diya hai hawa us se kahna hawa kuchh na kahna hawa kuchh na kahna