talluq kanch ka bartan nahin hathon se chhute aur chakna-chur ho jae talluq aahani diwar hota hai talluq aasmanon par chamakta ek sitara bhi nahin jo raat bhar chamke magar jaise hi suraj apni kirnon ko zamin par phailne ka hukm de to wo kahin ru-posh ho jae talluq aasman hai talluq mausamon ka husn kab hai jo sada baqi nahin rahta talluq to hawa hai aur zamanat hai hamari zindagi ki talluq ahd kab hai jo nibhata hi nahin koi hamesha tut jata hai talluq ishq hai ehsas hai khushbu hai jadu hai talluq waqt ki surat hamesha chalta rahta hai talluq sans ke manind hota hai talluq todne walo tumhein malum hai sachcha talluq khatm ho sakta hai lekin mar nahin sakta