talluq-o-taaruf

baat jab khamushi mein hoti hai
baat is marhale par aa pahunchi

parda-dari ke uth gae parde
un ke rukh tak nigah ja pahunchi

fasla bhi hai kuchh rifaqat bhi
ye ta'alluq bada nirala hai

guftugu dil ki dil se hai paiham
parda-e-raaz uthne wala hai

kuchh sawal-o-jawab hon ki na hon
dil ki baat un se ab kahen na kahen

ek sahar-afrin tasawwur hai
aamne samne rahen na rahen

ye bhi hai ek milap ka pahlu
khamushi baat hi ki surat hai

rah-o-rasm un se aankhon aankhon mein
ek mulaqat hi ki surat hai

sad ham-aghoshi-o-ham-ahangi
ye mulaqat go khayali hai

is ta'alluq pe kyon nisar na hon
ye taaruf bada jamali hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close