teri aarzu

yun basi rahti hai mere dil mein teri aarzu
jis tarah mai mein nasha hai aur hai phulon mein bu

jis tarah hai sabza-e-begana mein josh-e-numu
jis tarah masti fazaon mein nihan hai chaar-su

is tarah rahti hai mere dil mein teri aarzu
jis tarah barbat mein naghma jis tarah aatish mein nur

jis tarah qaus-o-quzah mein rang baada mein surur
jis tarah talib ki aankhon mein mohabbat ka zuhur

is tarah rahti hai mere mein teri aarzu
jis tarah pani mein thandak jis tarah gul mein sharab

jis tarah khanjar mein jauhar jis tarah moti mein aab
jis tarah arz-o-sama mein fitrat-e-husn-o-shabab

is tarah rahti hai mere dil mein teri aarzu
jis tarah kaif-e-mohabbat mein bahaar-e-zindagi

jis tarah doshiza-e-fitrat ke aariz par hansi
jis tarah shor-e-gham-e-dil mein tilism-e-khamushi

is tarah rahti hai mere dil mein teri aarzu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close