tez si talwar sada sa qalam bas yahi do taqaten hain besh-o-kam ek hai jangi shujaat ka nishan ek hai ilmi liyaqat ka nishan aadmi ki zindagi donon se hai qaum ki tabindagi donon se hai jo nahin darte qalam ki mar se zer karte hain unhen talwar se jab qalam pata nahin koi sabil us ghadi talwar hai raushan dalil hukmrani ko qalam darkar hai amn ki zamin magar talwar hai ilm ke maidan mein 'raazi' bano jang ke maidan mein ghazi bano waqt par mazmun likkho zor-dar waqt par dat kar lado mardana-war wo padhe likkhe jo be-talwar hain un ki sari digriyan be-kar hain bazm mein ashaar ke gauhar mufid razm mein talwar ke jauhar mufid aaj tak jo bhi hua hai ba-waqar tha koi jarnail ya mazmun-nigar 'faiz' ko jitna qalam se pyar hai utni hi pyari use talwar hai