tijarat

is mein kya shak hai tijarat baadshahi kaj hai
ghaur kar ke dekh lo tajir ke sar par taj hai

hind ki tarikh padh kar hi sabaq hasil karo
jo tijarat karne aae the ab un ka raj hai

zinda rah sakta nahin hargiz tijarat ke baghair
hum ne ye mana ki europe markaz-e-afwaj hai

har dukan apni jagah hai ek chhoti saltanat
nafa kahte hain jise dar-asl us ka baj hai

juz tijarat qaum ki mulki siyasat kuchh nahin
lutf-e-azadi isi mein hai yahi swaraj hai

zindagi ki rifaton se hai tijarat hi murad
han yahi baam-e-taraqqi hai yahi mearaj hai

mard-e-tajir ko khuda ki zat par hai e'timad
mard-e-chaakar har ghadi aghyar ka muhtaj hai

jab se hum ghairon ke aage jhuk gae misl-e-kaman
tab se apna dil sitam ke tir ka aamaj hai

chal rahi hain zor se be-kariyon ki aandhiyan
naujawan ka gulsitan-e-zindagi taraj hai

ye zaruri kaam kal par talna achchha nahin
bil-yaqin hum ko tijarat ki zarurat aaj hai

wae hasrat kyon tumhaari aql par patthar pade
jis ko tum kankar samajhte ho wahi pukhraj hai

phir kharido byah ka saman pahle jaan lo
bas tijarat hi urus-e-qaumiyat ka raj hai

wo hamesha qadr karte hain sawdeshi mal ki
qaum ka ehsas hai jin ko watan ki laj hai

khub moti rolte hain tajiran-e-ba-safa
'faiz' bazar-e-tijarat qulzum-e-mawwaj hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close