mat tahzib tamaddun ki tum hum se baat karo dil ka dard chhalak jaega warna aankhon se ghairat ke us nam pe ab tak jitne khun hue un mein kal ek chaar sal ki bachchi bhi dekhi jis ne hath mein kapde ki ek gudiya thami thi mutthi mein ek toffee thi jo us ne khani thi us ki palkon par hairat thi hairat mein tha khauf gardan par khanjar ka ghaw itna gahra tha jaise us ko katne wala hath paraya ho ghar ke ghairat-mand mardon se puchh saki na wo baba bhayya bolo ghairat kis ko kahte hain mat tahzib tamaddun ki tum hum se baat karo