abhi raushan hai ye charagh to ye na samjho ki ab andhere ka koi wajud hi na raha ki wo raushni ki talwar se kat kar mera ja chuka hai is dhoke mein na rahna ki wo hamesha ki liye kharida ja chuka hai us ne to bas ek chaalak aur shatir sipah salar ki tarah apni pahli haar ko pahli bazi jitne wale dushman ki jagmagahati wardi mein chhupa liya hai aur is ke kheme mein is tarah ghul mil gaya hai jaise ab us ka apna koi wajud na ho lekin dar-asl wo samaya hua hai inhin ujalon ki zat mein is charagh ki jalne ki wajh ban kar yahin kahin isi raat mein bade sabr se is ghat mein ki kab ye lau pade maddham aur wo tut pade ek shahbaz ki manind apne siyah daine phailae aur ghanimat ke kamzor fakhte ko apne changul mein daboch le jae meri baat ka yaqin na aae to chand lamhon ke liye koi ye charagh yahan se le jae abhi raushan hai ye charagh to aandhiyon se bachao use ye ne samjhao ki ab andhere ka koi wajud hi na raha