mujhe mamma meri na lori sunao mujhe aap ek computer dilao tamanna hai robot sab ko banaun main in ungliyon par jahan ko nachaun sitaron ko itna main mazur kar dun guzargah badalne pe majbur kar dun nahin mujh ko sunni wo baaten purani main nuqton se ab khud banaun kahani mila tis nuqte faqat ek banaun main phir dushmanon par nishane lagaun uthane kisi ko na main jaun aage gira kar sabhon ko nikal bhagun aage bhala sirf apna ho wo gur sikhao mujhe mamma meri na lori sunao