jaane kya baat hui thi jo mujhe yaad nahin raat ka pahla qadam tha ki wo tha pichhla pahar chaude darwaze se nikli thi wo masum sahar ek dastak sunai di thi ya tha mera wahm gungunati hui khamoshi thi ya mera bharam nind chaunki thi ya khwabon ke sanam tute the ek dhundli si shakl yaad hai ab bhi mujh ko gandumi rang pe judwan se sunahri shishe rasta khoe se hairan farishton jaise apni palkon mein sadaqat ka shor thame hue jhil se gahri aqidat ki dor thame hue tak rahi hain mujhe yaksan take jati hain yaad aai thin wo jagi hui aankhen kal raat koi kah de to sahi pichhle janam jhute the