kya tamasha hai tamasha-gar tamasha ban gae kya samajhte the unhen hum aur wo kya ban gae kyon na mar jaen marizan-e-mohabbat rashk se jo kabhi bimar the wo khud masiha ban gae un ke charche daur-e-hazir ki sunahri dastan apne qisse ahd-e-mazi ka fasana ban gae ab koi dekhe to kya samjhe to kya soche to kya jalwe uth kar dida-e-hairan ka parda ban gae jaan kar apna sar aankhon par bithaya tha jinhen jaan ke dushman wahi jaan-e-tamanna ban gae mukhtasar hoga 'rishi' kyunkar bayan-e-ashiqi haal kya kya ho gae ahwal kya kya ban gae