mahakti thi faza pur-kaif manzar tha bahaaron ka simat kar aa gaya tha nur zarron mein sitaron ka fazaon mein tarannum tha parinde chahchahate the hawa ke sard jhonke be-khudi ka git gate the wo rut aamon ki sawan ka mahina sham bhigi si chaman mein motiyon se pur thi jholi ghuncha-o-gul ki surur-o-kaif mein khoya hua tha dil-kusha manzar masarrat-afrin tha sar-ba-sar barsat ka manzar achanak us ko aise waqt pahli bar dekha tha khuda malum kya jadu bhara wo husn-e-raana tha bichhi jati thi mausam ki nazakat us ke qadmon mein machalti thi bahaaron ki latafat us ke qadmon mein usi ke dam se sara gulsitan firdaus-manzar tha chaman mein inhisar-e-mausam-e-gul tak usi par tha dil aankhon se ye kahta tha nigah-e-ghaur se dekho kahin is rup mein doshiza-e-fitrat na aai ho utar aaya na har farsh-e-zamin par chand ka tukda koi bhatka hua jalwa na ho gulzar-e-jannat ka surayya ka koi partaw na ham-aghosh-e-fitrat ho koi anjum na bhule se ziya-bar-dosh-e-fitrat ho wo jalwa jis ko khud ranai-e-fitrat pe pyar aae wo jis ke khair-maqdam ko do-alam ki bahaar aae wo qudrat thi khuda ki jis pe khud qudrat tasadduq thi wo barakat thi yaqinan jis pe har barakat tasadduq thi wo surat thi jise nur-e-khuda shan-e-khuda kahiye jise taskin dil kae nazar ka muddaa kahiye tamanna thi ki us ko dekh kar bas dekhte jaen sharab-e-be-khudi pi kar na apne aap mein aaen usi ka rang tha gul mein kali mein rup us ka tha na husn-e-dilruba aisa suna hi tha na dekha tha wo ek munh bolti taswir thi husn-o-nazakat ki khud aankhen ban ke jalwa dekhne ki dil ko hasrat thi kise is ki khabar thi pyar ban jaegi ye hasrat kise malum tha aazar ban jaegi ye hasrat 'rishi' kis ko pata tha aankh mil kar dil bhi atkega bil-akhir khar-e-ulfat umr-bhar sine mein khatkega