suna hai us ne tamashon mein aankh kholi thi jo aaj sab ko hansata hai maskharon ki tarah qadim daur ke kuchh naqsh us ke chehre par nae zamanon ke nauhe suna rahe hain hamein jadid ahd mein kitne tamashe ho rahe hain drone hamle dhamake tabahi aur jangen hum in tamashon ke har maskhare ko jaante hain tamasha karte hue qahqahe lagate hue ye maskhare hamein jam-e-ajal pila denge ye hone wale tamashe hamare bachchon ko na jaane kaun se circus mein la khada kar den hamari aankh se mitte hue hasin manzar inhi tamashon ke andar kahin bhatak rahe hain