kohna-tar zin badli gai phir nai na'al-bandi hui aur faras hinhinaya sawar ab sawari par majbur tha main akela aza-dar kitne yugon se uthae hue jism ka taziya khud hi apne janam-din pe masrur tha kapkapati chhuri cake ko wast tak chir kar ruk gai dil larazne laga zoaf ki mari phunkon ne ek ek kar ke bhadakti lawon ko bujhaya azizon ne bachchon ne tali bajai mubarak mubarak hui cake ka ek tukda mere munh mein thunsa gaya na'al ki shakl ka