jab ye barish zara bhi thamti hai dur bijli chamakne lagti hai, phir qayamat ka shor hota hai abr phir yun barasne lagta hai jaise nazron ke samne aksar husn ki bijliyan chamakti hain ishq jab zindagi ka talib ho husn ban kar azab aa jae pattharon ka mizaj le aae sakhtiyan mang le chatanon se jazba-e-rahm ko fana kar de ishq majbur ho ke aakhir main, apni aankhon se khun barsa de,