bahut dinon se mujhe intizar hai lekin tumhaare shahr se koi yahan nahin aaya main sochta hun to bas ye ki ab tumhaari shakl guzarte waqt ke hathon badal gai hogi khamida zulfon ki kali ghata mein ab shayad safed baalon ki tadad badh gai ho gi tumhaare gal pe jo ek til chamakta tha pata nahin wo chamak is mein ab bhi baqi hai tumhaari aankhon mein ek chandni si raushan thi pata nahin wo damak is mein ab bhi baqi hai tumhaari baaton mein phulon ki si mahak thi jo pata nahin wo mahak ab bhi sunne wale ko masham-e-jaan mein utar kar nihaal karti hai tumhaare mathe pe jo ek chand raushan tha mujhe guman hai wo chand bujh gaya hoga main sochta hun to bas is qadar ki ab tum ne purane qisse ko dil se bhula diya hoga yaqin mujhe bhi hai ab mil na paenge hum tum magar ye rishta-e-dil kas tarah se toda jae fasana jo ki mukammal na ho saka us ko kahan pe khatm kiya jae kaise moda jae bahut dinon se mujhe intizar hai lekin tumhaare shahr se koi yahan nahin aaya