tanha lamhon ne aa aa kar kan mein sargoshi ki aksar puchha sathi ye to batao zahr ke kitne jam piye hain jhuton ko kya makkaron ko phatkara lalkara bhi hai dar ke gahre sae mein kya jhanda haq ka lahraya hai pyar ko ek aadarsh bana kar kab qasd-e-taslib kiya hai jab jab bazm mein aae ho tum gum-sum chup chup sar latkae tauq gale mein aah ka dale sar par taj ghamon ka pahne apne dukhon ki mala japne aa baithe tum is duniya mein duniya ko tum dekh chuke ho zulm ki aag mein jalti duniya zard zaban shoalon ki jis ko chat chuki hai chat rahi hai sach puchho to khak hui hai lekin baat ajab hai kitni jab jab tum se baat hui tum apna dukhda le baithe ho