be-irada chalenge to la-hasili ke masaib se bach jaenge tum kahoge koi phul rakh dusre hat par dil hi dil mein main ro dunga is baat par main kahunga nahin kuchh na kah paunga qahqaha mar kar bas hansunga tumhein bhi hansi aaegi be-irada yunhi be-irada hansenge yunhi der tak phir khayal aaega: tum ne ek baat mujh se kahi thi batao: wo kya baat thi tum kahoge hatao bhula do use aao chal den yunhi be-irada kahin bhul jaen ki us ke gunahgar hain us ke qatil hain hum bhul jaen ki apni saza maut hai