main wahi qatra-e-be-bahr wahi dasht-e-naward apne kandhon pe uthae hue sahra ka tilism apne sine mein chhupae hue sailab ka dard tut kar rishta-e-tasbih se aa nikla hun dil ki dhadkan mein dabae hue aamal ki fard mere daman mein baraste hue lamhon ka kharosh meri palkon pe bagulon ki udai hui gard lakh lahron se utha hai meri fitrat ka khamir lakh qulzum mere sine mein dawan rahte hain din ko kirnen mere afkar ka munh dhoti hain shab ko tare meri jaanib nigran rahte hain mere mathe pe jhalakta hai nadamat ban kar ibn-e-maryam ka wo jalwa jo kalisa mein nahin randa-e-mauj bhi hain mujrim-e-zarraat bhi hain mera qissa kisi afsana-e-dariya mein nahin meri tarikh kisi safha-e-sahra mein nahin