wo bagh mein mera muntazir tha aur chand tulua ho raha tha zulf-e-shab-e-wasl khul rahi thi khushbu sanson mein ghul rahi thi aai thi main apne pi se milne jaise koi gul hawa se khilne ek umr ke baad main hansi thi khud par kitni tawajjoh di thi! pahna gahra basanti joda aur itr-e-suhag mein basaya aaine mein khud ko phir kai bar us ki nazron se main ne dekha sandal se chamak raha tha matha chandan se badan mahak raha tha honton pe bahut sharir lali galon pe gulal khelta tha baalon mein piroe itne moti taron ka guman ho raha tha afshan ki lakir mang mein thi kajal aankhon mein hans raha tha kanon mein machal rahi thi baali banhon se lipat raha tha gajra aur sare badan se phutta tha us ke liye git jo likha tha! hathon mein liye diye ki thaali us ke qadmon mein ja ke baithi aai thi ki aarti utarun sare jiwan ko dan kar dun! dekha mere dewta ne mujh ko baad is ke zara sa muskuraya phir mere sunahre thaal par hath rakkha bhi to ek diya uthaya aur meri tamam zindagi se mangi bhi to ek sham mangi